Call – Laaree Chootee Lyrics

Woh kehte hai na
Jo hota hai acche ke liye hota hai
Galat kehte hai

Kismat ka khel hai sara
Phirta tha mein awara
Yeh kya se kya hogaya
Chaar din ki zindagani
Har pal ek nai kahani

Kya tha mein kya ban gaya
Kya hua jo larrri chuti
Jeevan ki gadi looti
Khwaab hai to mujhko naa jaga
Zindagi ek pal mein salli
Yun palat gai humari
Jhooth hai to mujhko na bataa

Mumbai suna tha yahan adami
Puri zindagi apni kismat slow track se
Fast track laane mein nikal deta hai
Per dhai ghante mein meri kismat
Aise slow track se fast track per
Aa jayigi yeh mene kabhi socha nahi tha

Saza maza ban jayegi
Yeh bhi kabhi socha nahi tha
Last local kya chutti
Sala kismat patri per aagayi

Karlo jo bhi karna hai
Hota hai jo hona hai
Guzra to pal yeh phir na aayega
Kya bura hai kya bhala hai
Waqt hi shayaad khuda hai

Ho jane do phir dekha jayega
Kya hua jo larrri chuti
Jeevan ki gadi looti
Khwaab hai to mujhko naa jaga
Zindagi ek pal mein salli
Yun palat gai humari
Jhooth hai to mujhko na bataa

O k ehte hai na
Jo hota hai acche ke lliye hota hai
Sahi kehte hai




Yayımlandı

kategorisi

yazarı:

Etiketler:

Yorumlar

Bir yanıt yazın